Breaking News
Loading...
Friday, April 17, 2015

Her Ik Baat Pe Kehte Ho K Tu Kia Hai Ab Tum He Kaho K

8:04 PM
Har ek baat pe kehte ho tum ki tu kya hai,
tumhin kaho ki ye andaaz-e-guftgoo kya hai.

Na shole mein ye karishma na barq mein ye adaa,
koi bataao ki woh shokh-e-tund-khoo kya hai.

Ye rashk hai ki woh hota hai hum-sukhan tum se,
wagarna khauf-e-bad-aamozi-e-adoo kya hai.

Chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan,
humari jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai.

Jalaa hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga,
kuredate ho jo ab raakh justjoo kya hai.

Ragon mein daudte phirne ke hum nahin qaayal,
jab aankh se hi na tapka toh phir lahoo kya hai.

Woh cheez jis ke liye hum ko ho bahisht azeez,
siwaaye baada-e-gulfaam-e-mushk-boo kya hai.

Piun sharaab agar khum bhi dekh lun do chaar,
ye sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai.

Rahi na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhi,
toh kis ummeed pe kahiye ki aarzoo kya hai.

0 comments:

Post a Comment

Thanks For Comment

 
Toggle Footer