Breaking News
Loading...
Tuesday, February 24, 2015

Skin Care Tips For Girls In Urdu

7:47 PM

Tamam khwateen apni jild ka buhat khayal rakhti hain. Is ke lye wo mukhtalif parlors jati hain, mukhtalif qisam k totky azmati hain. Yeh be zaroori hai ke tamam khwateen apsna khayal rakhen kuch khawatenn apni ghar k kamo mn masroof ho k apna khayal rakhna bhol jati hain. Ak buht aam sa masla jo ke buht se khawateen ko darpesh hota hai, k jild se dagh daby kesy khatam ke jae. Mukhtalif qisam ke gharelo totko se in dagh dabho ko khatam kia ja sakta hai. Bas zara se mahnat aur himat ki zaroorat hai. Chehray pe mukhtalif qisam k neshan or dagh daby par jaty hain, kuch dhoop main zeyada pherny se, kuch danu ki wajah se, keel mahasy , chaeyan wakhera yeh tamam dagh ap ki dalkashi aur khubsurti ko mutasir karty hai.
Khawateen mukhtalif qisam ki cream istemal karti hain in dagh dabho se chutkara hasil karny ke lye, lakin in creamo main kabhi kabhar asy chemicals istemal hoty hai jo aur masly bana dety hai jesy bal zeyada ho jaty hai ya jald ki wo jaga jahan cream istemal ki gai ho kali ho jati hai. In maslo se bachny ke lye sub se behter tareeqa hai k gharelo totko se jild ke dagh dabo ko door kia jae or chehray ko dilkash aur khubsurat banaya jae
Darj zyel totky hai jo apki jild ko taro taza aur shadab banaty hain her qisam ke dahg dhabo se apki jild ko saaf krte hai.
  • Arqe gulab, zetoon ka tayl or lemo ka ras mila ke chehray pe lagany se chehray ki khushki khatam ho jati hai aur isko chamakdar banati hai.
  •  Kacha dhood lagany se chehray se har qisam k dagh khatam ho jaty hain.
  • Kachy dhood main lemo ka ras nachor kar chehray pe lagany se chehray ki khurdari jaga aur dagh door kr k chehray ko baroonak banaty hai.
  • Chehry ki jhuria khatam karny ke lye kheera aur lemo ka ras mila kar lagana buhat mufeed hai.
Galcirine aur pani hum wazan miqdar mn aur lemo ka ras do chamach mila ke chehray per do dafa lagany se chehray se her qisam ke dagh or daby door ho jaty hai.
Chahry ki jild buhat he nazuk hoti hai, is pe agar kisi qisam ka dagh par jaye tau mushkil se he jata hai. Chehray ko dhood se roz dhona buhat kar amad hai, kuch khawateen ke chahry pheeky aur beroonak nazar aty hain, is ki asal wajah mutaazan ghaza na khana hota hai jo chehre ko berunaq bana dety hai. Is lye in gharelo totko ke sat ak mutawazan ghaza khana be buhat zaroori hai. Thori se hifazat apko jawan aur haseen bana deti hai.
Chahry ko do dafa sadhy pani se dhona buhat zaroori hai. Is se chahry per pari dhool saf ho jati hai, jo ke bad main kai masloo ki wajah banti hain. Is ke elawa shehad be chary ki tazge ke lye buhat mufeed hai. Yeh chehary ko hamesha taza aur saff rakhti hain aur jhureo se be bachati hain.

0 comments:

Post a Comment

Thanks For Comment

 
Toggle Footer