Ghanairi haseen palkon ka raaz hai umda aur behtreen ghazaa aur un ki dekh rekh. Ap ki palkain ap ki ankhon ki hifazat karti hain aur unhay khoobsoorat bananay mein ahem kirdaar ada karti hain. Kuch logo ko warasat mein lambi aur ghanni palkain ataa ho jati hain per agar aap wesi khushkismet nahi tu ghabranay ki koi baat nahi. Aap petroleum jelly lay lijye aur apni ankhon kay makeup ko iss saaf kijye. Yeh behtreen makeup saaf karnay ki tarkeeb hai aur na sirf palkon ko naram karti hain balkay lamba karnay mein madadgaar hai. Sab se achi baat yeh kay her ghar mein petroleum jelly mojood hoti hai aur agar nahi bhi hai tu aap bazaar se asani sey khareed lain. Yeh bilkul mehngi nahi hoti aur koi bhi is ko khareed skta hai. Petroleum jelly raat ko laga ker sjayei aur subah uth ker ankhain achay sey dho lijye.
Apni palkon mein zaitoon ka tail lagayei jo na sirf in ki hifazat karay ga, in ki jarein mazboot banaye ga balkay palko ki lambai mein ghair maamooli izafa bhi karay ga. Apni palkon per mascara kabhi bhi raat bhar na choryei. Iss se ap ki palkay kamzor ho jayein gi aur jharnay lagain gi. Rozana zaitoon k tail se malish krain sonay se pehlay aur aik saaf mascara brush lay ker in ki kanghi krein. Iss amal se palkain ghani, mazboot aur shandaar lambi ho jayein gi. Agar aap chahain tu zaoroon kay tail kay dibay mein ik leemoo kaat ker daal lain. Kuch din para rehnay dain aur phir is tail ko istemal krein. Yeh ap ki palkon ko bohut khoobsoorat aur ankhon ko beemari se bachaye ga. Aur apni khoobsoorti kay liye apni khoraak per tawajah dena bilkul na bhoolyei. Paani zaroor pijye kam az kam 8 glass rozana. Hamain umeed hai kay yeh gheruloo totkay ap kay bayhad kaam ayein gay aur ap apnay aap ko haseen se haseen tar bananay kay liye yaqeenan in ko istemal krein gi.
Kia ap ko khabar hai kay green tea ya sabz chaye ap ko motapaa khatam karnay mein madad kartay hain? Aur green tea ya sabz chaye kisi royii ya cotton ball ki madad se apni ankhon per palkon ki jaron mein lagyein gi tu ap ki palkain ghani aur lambi ho jayein gi. Hamein umeed hai kay bohut kam khwateen ko sabz chaye ki is khasoosiyiat ka ilm ho ga lekin aap is nuskhay ko istemal kr k dekhyei aur haseen ban jayei.
0 comments:
Post a Comment
Thanks For Comment
Click to see the code!
To insert emoticon you must added at least one space before the code.