jo tumhein khushi mein yad aye samjho, tum us se Muhabbat karte ho. or jo tumhein ghum mein yad aye to samjho, wo tum se Muhabbat karta hai...
ksi ka aib talash karney waley ke misal os makhi se hey jo sara khobsort jism chor kar zakhm par bethti hey.
Mard ki gaerat ka andaza uski ourat ki libas se hota he..
Jhoot bol kar jeetney se acha hey tum cuch bol kar haar jao.
Jub kabhi tumhe apnay rizq mein kami nazar aanay lagay to kuch maal Allah ko de kar Allah k sath tijarat kar liya Karo.
Sub se ziyada kamzor aadmi wo he Jo dost ko hassil karne me naakaam ho
Aur us se bhi ziyada kamzor wo he Jo haath aae huwe dost ko ganwa de..
Insan k aansu us waqt muqaddas hotay hain, Jab wo kisi or k dukh or takleef ko mehsus kar k niklen.
Tum ksi ko chaho wo tum ko thukra dey yeh os ke badnasebi hey,koi tum ko na chahey tum os ko zbrdsti apna banana chaho yeh tery nfs ke zilt hy.
Zindagi k har moor par sulah karna seekho "Akkr" to murdey ke pehchan hoti hey.
Jannat k muntazir na raho balke aisay ban jao k Jannat tumhari muntazir rahe.
Na umeed shakhs har acha mouqa bhi ganwa daita hay, Aur pur umeed shakhs har preshaani main bhi mouqa talash kar laita hay.
Achaa dost hath or aankh ke tarah hota hey. jab hath ko dard hota hey to aankh roti hey or jab aankh roti hey to hath aanso saaf karta hey..
Baarish ka qatra Seepi or Sanp dono mai girta hai, jab ke Sanp ussay Zehar bana deta hai or Seepi usay Moti. Jis ka jaise Zarf waisi uss ki Takhleeq..
Rishton ki khoobsurati ek doosray ki baat ko bardasht karna hai, Be-Aib insaan talash mat karo, Warna akailay reh jao gay..
Muaaf karna sab se ziada usey zeib deta hai jo saza dene par qadir ho..
Tum gulaab ka phool ban jao kyun k yeh phool us ke haathon mai be Khushboo chorr jata hai jo issay masal k phenk deta hai..
0 comments:
Post a Comment
Thanks For Comment